Khatam-e-Bukhari Sharif: Faiday aur Fazilat
Khatam-e-Bukhari Sharif ek mukaddas amal hai jisme Sahih Bukhari ki tamam hadeeson ki tilawat ki jati hai. Sahih Bukhari, jo ke hadeeson ki sabse maqbool aur authentic kitaab mani jati hai, ka tilawat karna aur isse Khatam karna, Islami mazhab mein ek azeem ibadat samjha jata hai. Yeh amal aksar kisi khas moqa, khushi, ya dukh ke waqt, ya phir kisi shakhs ki sehat, khair-o-barkat aur mushkilat se nijaat ke liye kiya jata hai.
Faiday aur Barakat
Khatam-e-Bukhari Sharif ko kisi ke naam se recite karne se bohat se ruhani faiday milte hain. Iske faiday yeh hain:
1. Ruhani Barkat: Is khatam se recite karne wale aur jinke liye kiya jata hai, dono par Allah ki rehmat aur barakat hoti hai.
2. Dua ki Qabooliyat: Khatam ke doran jo bhi dua ki jati hai, uski qabooliyat ka imkaan barh jata hai, khas tor par agar wo dua kisi specific maqsad ke liye ho.
3. Mushkilat ka Hal: Khatam-e-Bukhari Sharif ke zariye kisi bhi mushkil ya pareshaani ko door karne ke liye Allah se madad talabi ki jati hai.
4. Ruhani Shifa: Is amal se ruhani aur jismani bimaariyon ke liye bhi shifa talab ki jati hai.
Ajmer Sharif Dargah Mein Khatam-e-Bukhari Sharif
Agar aap chahte hain ke aapki taraf se ya kisi apne ke naam se Khatam-e-Bukhari Sharif ki padhai ki jaati hai, to aap Ajmer Sharif Dargah main khadin sahab se rabta kar sakte hain. Yeh khidmat Ajmer Sharif Dargah mein mukammal tawajju aur adab ke saath anjaam di jati hai. Is amal ke zariye, aap apne ya apne kisi aziz ke liye khud ko ruhani barkat se nawaz sakte hain.
Contact Information:
Syed Ali Dujana Gurdezi
Spiritual Mentor, Ajmer Sharif Dargah
+91 9587755853
[www.chishtiyasufifoundation.com]
Yeh amal na sirf aapki ruhani zindagi mein madadgar hoga, balki Ajmer Sharif ke qadeem aur mo'azzaz rasm o rivaj ke mutabiq anjaam diya jata hai, jo ke aapko Allah ki rehmat aur barakat se malamal karega.
Comments
Post a Comment