Ajmer Sharif Dargah Mein Sadqah ya Zaqat Ka Nazrana Naqabool hai.
Ajmer Sharif Dargah, jo ke Khwaja Gharib Nawaz (R.A.) ka muqaddas maqam hai, yahan har saal lakhon log apni arzoo aur nazarain lekar aate hain. Lekin yahan aik ahem kaide aur rivaaj hai jo har Ashiqu e Khwaja ko samajhna zaroori hai.
Sadqah aur Zaqat ka paisa, jo ke Islam mein gareebon aur zarurat mandon ke liye mukarrar kiya gaya hai, Ajmer Sharif Dargah mein kisi bhi qism ke amal mein qabool nahi kiya jata. Iski wajah ye hai ke yeh paise syed biradari ke liye haram hain, aur yeh amal Khwaja Gharib Nawaz (R.A.) ke niyaz ke taur par istimaal nahi ho sakta.
Agar koyi bhi insaan apse darbar ka khadim bolke Sadqah ya Zaqat ka paisa Dargah ke naam per lete hain, to yeh bilkul ghalat hai aur yeh log Ajmer Sharif Dargah se taluq nahi rakhte. Khwaja Gharib Nawaz (R.A.) ka tabarruk, Sadqah ya Zaqat ke paison se nahi banaya jaa sakta hai
Is rivaaj ka ehtiram karte huye, har zarooratmand insaan ko ye samajhna chahiye ke Ajmer Sharif Dargah mein apna nazrana dena to zaroori hai lekin wo paisa jo Sadqah ya Zaqat ke naam par ho, usay Dargah ke kisi bhi qism ke amal mein shamil na kiya jaye.
Is paigam ko aam karna zaroori hai taki log Dargah ki hurmat aur izzat ka khayaal rakhte huye apne amal ko tehqiq se anjam dein aur Ajmer Sharif Dargah ka asal maqsad aur rivaaj kayam reh sake.
Comments
Post a Comment